Sad Shayari
Most Famous Sad Shayari of All Time!
We have created a collection of some of the best sad shayari so you can read and share anytime with your friends and family. Share our Top 10 Sad Shayari on Facebook, Twitter, and Pinterest.
सेड शायरी का सबसे अच्छा संग्रह यहाँ उपलब्ध है, आप इस सेड शायरी को अपने हिंदी वाहट्सएप्प स्टेटस के रूप में उपयोग कर सकतें है या आप इस बेहतरीन सेड हिंदी शायरी को अपने दोस्तों को फेसबुक पर भी भेज सकतें हैं। सेड पर हिंदी के यह शेर, आपके प्यार और भावनाओं को व्यक्त करने में आपकी मदद कर सकतें हैं !!
On our website you will get all the latest and updated collection of 2 Line Sad Shayari in Hindi.
टूटे हुये सपनो और रूठे हुये अपनों ने उदास कर दिया,
वरना लोग हमसे मुस्कराने का राज पूछा करते थे।
Toote Huye Sapno Aur Ruthe Huye Apno Ne Udaas Kar Diya,
Varna Log Humse Muskraane Ka Raaz Poochha Karte The.
तवारीखों में कुछ ऐसे भी मंजर हमने देखे है,
कि लम्हों ने खता की थी और सदियों ने सजा पाई।
Tawarikhon Mein Kuchh Aise Bhi Manzar Humne Dekhe Hain,
Ki Lamhon Ne Khata Ki Thi Aur Sadiyon Ne Sazaa Paayi.
Popular Shayari Topics for You.
मुद्दत से थी किसी से मिलने की आरज़ू,
ख्वाहिश-ए-दीदार में सब कुछ गँवा दिया,
किसी ने दी खबर कि वो आयेंगे रात को,
इतना किया उजाला कि घर तक जला दिया।
Muddat Se Thi Kisi Se Milne Ki Aarzoo,
Khwahish-e-Deedar Mein Sab Kuchh Ganwa Diya,
Kisi Ne Di Khabar Ki Woh Aayenge Raat Ko,
Itna Kiya Ujala Ke Ghar Tak Jala Diya.
कभी चुप में कभी मेरी बात-बात में था,
तुम्हारा अक्स मेरी सारी कायनात में था,
हम अहल-ए-इश्क़ बहुत बद-गुमां होते हैं,
इसी तरह का कोई वस्फ़ तेरी जात में था।
- Noshi Gilani
Kabhi Chup Mein Kabhi Meri Baat Baat Mein Tha,
Tumhara Aks Meri Saari Qaynaat Mein Tha,
Hum Ehl-e-Ishq Bahut Bad-Guman Hote Hain,
Isee Tarah Ka Koi Vasf Teri Jaat Mein Tha.
रात भर मुझको ग़म-ए-यार ने सोने न दिया,
सुबह को खौफ़-ए-शब-ए-तार ने सोने न दिया,
शमा की तरह मेरी रात कटी सूली पर,
चैन से याद-ए-कद-ए-यार ने सोने न दिया।
Raat Bhar Mujhko Gham-e-Yaar Ne Sone Na Diya,
Subah Ko Khauf-e-Shab-e-Taar Ne Sone Na Diya.
Shamaa Ki Tarah Meri Raat Kati Suli Par,
Chain Se Yaad-e-Kad-e-Yaar Ne Sone Na Diya.
मोहब्बत से इनायत से वफ़ा से चोट लगती है,
बिखरता फूल हूँ मुझको हवा से चोट लगती है,
मेरी आँखों में आँसू की तरह इक रात आ जाओ,
तकल्लुफ़ से बनावट से अदा से चोट लगती है।
Mohabbat Se, Inayat Se, Wafa Se Chot Lagti Hai,
Bikharta Phool Hun MujhKo Hawa Se Chot Lagti Hai,
Meri Aankhon Mein Aansoo Ki Tarah Ek Raat Aa Jaao,
Takalluf Se Banawat Se Adaa Se Chot Lagti Hai.
लब पे आहें भी नहीं आँख में आँसू भी नहीं
दिल ने हर राज़ मुहब्बत का छुपा रक्खा है
तूने जो दिल के अंधेरे में जलाया था कभी
वो दिया आज भी सीने में जला रक्खा है।
Lab Pe Aahein Bhi Nahi Aankh Mein Aansoo Bhi Nahi,
Dil Ne Har Raaz Mohabbat Ka Chhupa Rakha Hai,
Tu Ne Jo Dil Ke Andhere Mein Jalaya The Diya,
Wo Diya Aaj Bhi Seene Mein Jala Rakha Hai.
ज़माने से सुना था कि मोहब्बत हार जाती है,
जो चाहत एक तरफ हो वो चाहत हार जाती है।
कहीं दुआ का एक लफ्ज़ असर कर जाता हैं,
और कभी बरसों की इबादत भी हार जाती है।
Zamane Se Suna Tha Ki Mohabbat Haar Jati Hai,
Jo Chahat Ek Taraf Ho Wo Chahat Haar Jati Hai,
Kahin Dua Ka Ek Lafz Asar Kar Jata Hai,
Aur Kahin Barson Ki Ibadat Bhi Haar Jati Hai.
मुद्दत से कोई शख्स रुलाने नहीं आया,
जलती हुई आँखों को बुझाने नहीं आया,
जो कहता था कि रहेंगे उम्र भर साथ तेरे,
अब रूठे हैं तो कोई मनाने नहीं आया।
Muddat Se Koi Shakhs Rulane Nahi Aaya,
Jalti Huyi Aankhon Ko Bujhaane Nahi Aaya,
Jo Kehta Tha Ke Rahenge Umr Bhar Saath Tere,
Ab Roothhe Hain Toh Koi Manaane Nahi Aaya.
तुमने तो कह दिया कि मोहब्बत नहीं मिली,
मुझको तो ये भी कहने की मोहलत नहीं मिली,
तुझको तो खैर शहर के लोगों का खौफ था,
और मुझको अपने घर से इजाज़त नहीं मिली।
Tumne Toh Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili,
MujhKo To Yeh Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili,
TujhKo Toh Khair Shahar Ke Logon Ka Khauk Tha,
Aur MujhKo Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili.
ताबीर जो मिल जाती तो एक ख्वाब बहुत था,
जो शख्स गँवा बैठे है नायाब बहुत था,
मै कैसे बचा लेता भला कश्ती-ए-दिल को,
दरिया-ए-मुहब्बत मे सैलाब बहुत था।
Taabir Jo Mil Jati Toh Ek Khwaab Bahut Tha,
Jo Shakhs Ganwa Baithe Woh Nayaab Bahut Tha,
Main Kaise Bacha Leta Bhala Kashti-e-Dil Ko,
Dariya-e-Mohabbat Mein Sailaab Bahut Tha.
मैं किसी की दस्त-ए-तलब में हूँ, तो किसी की हर्फ़-ए-दुआ में हूँ,
मैं नसीब हूँ किसी और का, मुझे मांगता कोई और है।
Main Kisi Ke Dast-E-Talab Mein Hoon, Toh Kisi Ke Harf-E-Duwa Mein Hoon,
Main Naseeb Hoon Kisi Aur Ka, Mujhe Maangata Koyi Aur Hai.
साझेदारी करो तो किसी के दर्द की करो...
क्योंकि की ख़ुशियों के दावेदार बहुत है...!!
Saajhedaaree karo to kisee ke dard kee karo...
Kyonki kee khushiyon ke daavedaar bahut hai...!!
मैं ख्याल हूँ किसी और का, मुझे सोचता कोई और है,
सर-ए-आईना मेरा अक्स है, पस-ए-आईना कोई और है।
Main Khayaal Hoon Kisi Aur Ka, Mujhe Sochta Koyi Aur Hai,
Sar-E-Aaina Mera Aks Hai, Pas-E-Aaina Koyi Aur Hai.
पा लिया था दुनिया कि सबसे हसीन को,
इस बात का तो हमें कभी गुरूर नहीं था,
वो पास रह पाते हमारे कुछ और दिन,
शायद ये हमारे नसीब को मंजूर नहीं था।
Pa Liya Tha Duniya Ki Sabse Haseen Ko,
Iss Baat Ka Toh Hamein Kabhi Garur Nahi Tha,
Woh Paas Rah Paate Humare Kuchh Aur Din,
Shayad Yeh Hamare Naseeb Ko Manjoor Nahi Tha.
जैसे जुल्फों की लट है चेहरे के करीब तेरे,
काश हम भी आज तेरे करीब होते,
तेरे फूलों से चेहरे को हरदम निहारते हम,
काश ऐसी होती हमारी किस्मत ऐसे नसीब होते।
Jaise Julfon Ki Lat Hai Chehre Ke Karib Tere,
Kaash Hum Bhi Aaj Tere Itne Karib Hote,
Tere Phoolon Se Chehre Ko Hardam Niharte Hum,
Kaash Aisi Hoti Kismat Aise Naseeb Hote.
उन गलियों से जब गुज़रे तो मंज़र अजीब था,
दर्द था मगर वो दिल के बहुत करीब था,
जिसे हम ढूँढ़ते थे अपनी हाथों की लकीरों में,
वो किसी दूसरे की किस्मत किसी और का नसीब था।
Unn Galiyon Se Jab Gujre Toh Manzar Ajeeb Tha,
Dard Tha Magar Woh Dil Ke Bahut Kareeb Tha,
Jise Hum Dhoondhte The Apni Haatho Ki Lakeeron Mein,
Woh Kisi Doosare Ki Kismat Kisi Aur Ka Naseeb Tha.
अगर यकीन होता कि कहने से रुक जायेंगे,
तो हम भी हंसकर उनको पुकार लेते,
मगर नसीब को मेरे ये मंजूर नहीं था,
कि हम भी दो पल ख़ुशी के गुजार लेते।
Agar Yakeen Hota Ki Kahne Se Ruk Jaayenge,
Toh Hum Bhi Hanskar Unko Pukaar Lete,
Magar Naseeb Ko Mere Yeh Manjoor Nahi Tha,
Ki Hum Bhi Do Pal Khushi Se Gujar Lete.
नसीब बनकर कोई जिंदगी में आता है,
फिर ख्वाब बनकर आँखों में समा जाता है,
यकीन दिलाता है कि वो हमारा ही है,
फिर न जाने क्यूँ वक़्त के साथ बदल जाता है।
Naseeb Ban Kar Koyi Zindagi Mein Aata Hai,
Phir Khawab Ban Kar Aankhon Mein Sama Jata Hai,
Yakeen Dilata Hai Ki Woh Hamara Hi Hai,
Phir Na Jane Kyun Waqt Ke Sath Badal Jata Hai.
दिल अमीर था मगर मुकद्दर गरीब था,
मिलकर बिछड़ना तो हमारा नसीब था,
हम चाह कर भी कुछ कर न सके,
घर जलता रहा और समंदर करीब था।
Dil Ameer Tha Magar Muqadar Gareeb Tha,
Mil Kar Bichhadna Toh Humara Naseeb Tha,
Hum Chaah Kar Bhi Kuchh Kar Na Sake,
Ghar Jalta Raha Aur Samundar Qareeb Tha.
Related Shayari Topics for You.
Guys, we are trying daily to share Unique Sad Shayari, so you will not get to read the same things again and again on our website. It’s not so easy to find out our desired Sad Poetry & Shayari in Hindi on the internet but we are trying our best to give you ultimate collection through our website. Hopefully, every die-hard lover will love our Sad Shayari Collection. You can also share your favorites on Facebook or send them to a friend who loves to reading shayari.
सभी शायरी इंटरनेट की दुनिया में लोकप्रिय है। इनके रचनाकार का नाम पता नहीं चल सका। अगर आपको लेखक का नाम मालूम हो तो ज़रूर बताएं। शायरी के साथ शायर का नाम लिखने में हमें ख़ुशी होगी।
