Hurt Shayari
Dard aur zakhm ki shayari
In sheron mein dard aksar khamosh rehta hai - koi shikwa nahi, bas gehre zakhm jo waqt ke saath bhi bharte nahi. Quotes bhi padhein isi dard ko aur gehrai se mehsoos karne ke liye.
एहसान किसी का वो रखते नहीं मेरा भी चुका दिया,
जितना खाया था नमक मेरा मेरे जख्मों पे लगा दिया।
Ehsaan Kisi Ka Woh Rakhte Nahi Mera Bhi Chuka Diya,
Jitna Khaya Tha Namak Mera Mere Zakhmo Pe Laga Diya.
नमक भर कर मेरे ज़ख्मों में तुम क्या मुस्कुराते हो,
मेरे ज़ख्मों को देखो मुस्कुराना इस को कहते हैं।
Namak Bhar Kar Mere Zakhmon Mein Tum Kya Muskurate Ho,
Mere Zakhmon Ko Dekho Muskurana Iss Ko Kahte Hain.
Popular Shayari Topics for You.
मेरी चाहत को मेरी हालत की तराजू में ना तोल,
मैंने वो ज़ख्म भी खाये जो मेरी किस्मत में नहीं थे।
Meri Chahat Ko Meri Halat Ke Taraju Mein Na Taul,
Maine Woh Zakhm Bhi Khaye Jo Meri Kismat Mein Nahi The.
सुना है उस को मोहब्बत दुआएँ देती है,
जो दिल पे चोट तो खाए मगर गिला न करे।
Suna Hai Usko Mohabbat Duaayein Deti Hai,
Jo Dil Pe Chot Toh Khaye Magar Gila Na Kare.
Love Shayari
बरबाद बस्तियों में तुम किसको ढूंढ़ते हो,
उजड़े हुए लोगों के ठिकाने नहीं होते।
Barbad Bastiyon Mein Tum Kis Ko Dhoondhte Ho,
Ujde Huye Logon Ke Thhikane Nahi Hote.
ज़ख्म देने का तरीका कोई न मिला उन्हें,
महफ़िल में छेड़ते रहे ज़िक्र-ए-वफा बार-बार।
Zakhm Dene Ka Tareeka Koi Na Mila Unhein,
Mehfil Mein Chhedte Rahe Zikr-e-Wafa Baar-Baar.
हर्फ़-हर्फ़ इस कदर था तल्खियों से भरा,
आखिरी ख़त तेरा दीमक से भी खाया ना गया।
Harf-Harf Iss Kadar Tha Talkhiyon Se Bhara,
Aakhiri Khat Tera Deemak Se Bhi Khaya Na Gaya.
हमने तो बस इतना ही सीखा है दोस्तों,
राह-ए-वफ़ा में कभी किनारा नहीं मिलता,
जो मिल जाये इस राह पर कभी यार से,
वो ज़ख्म कभी फिर दोबारा नहीं सिलता।
Humne Toh Bas Itna Hi Seekha Hai Dosto,
Raah-e-Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,
Jo Mil Jaye Iss Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Zakhm Kabhi Fir Dobara Nahi Silta.
बातों में तल्खी और लहजे में बेवफाई,
लो ये मोहब्बत भी पहुँची अंजाम पर।
Baato Mein Talkhi Lehze Mein Bewafai,
Lo Ye Mohabbat Bhi Pahuchi Anjaam Par.
Man Shayari
सितम की ये इन्तेहाँ देखे ज़माना भी,
कि जिसपे मरते थे उसी ने मार डाला।
Sitam Ki Ye Intehaan Dekhe Zamana Bhi,
Ke Jispe Marte The Usee Ne Maar Dala.
अश्क आँखों से दिल से बद्दुआ निकली,
सितम किया याद जब कभी सितमगर का।
Ashq Aankhon Se, Dil Se BadDua Nikli,
Sitam Kiya Yaad Jab Kabhi SitamGar Ka.
वो एक बात बहुत तल्ख़ कही थी उसने,
बात तो याद नहीं याद है लहज़ा उसका।
Wo Ek Baat Bahut Talkh Kahi Thi Usne,
Baat Toh Yaad Nahi, Yaad Hai Lehja Uska.
नए ज़ख्म के लिए तैयार हो जा ऐ दिल,
कुछ लोग प्यार से पेश आ रहे हैं।
Naye Zakhm Ke Liye Tayyar Ho Ja Ai Dil,
Kuchh Log Pyar Se Pesh Aa Rahe Hain.
तरस गए हैं थोड़ी सी वफ़ा के लिए,
किसी से प्यार न करेंगे खुदा के लिए,
जब भी लगती है इश्क की अदालत,
हम ही चुने जाते हैं सजा के लिए।
Taras Gaye Hain Thodi Si Wafaa Ke Liye,
Kisi Se Pyaar Na Karenge Khuda Ke Liye,
Jab Bhi Lagti Hai Ishq Ki Aadalat,
Hum Hi Chune Jaate Hain Sazaa Ke Liye.
Long Shayari
सितम सह कर भी कितने ग़म छिपाये हमने,
तेरी खातिर हर दिन आँसू बहाये हमने,
तू छोड़ गया जहाँ हमें राहों में अकेला,
तेरे दिए ज़ख्म हर एक से छुपाये हमने।
Sitam Sah Bhi Kar Kitne Gam Chhipaye Humne,
Teri Khatir Har Din Aansu Bahaaye Humne,
Tu Chhod Gaya Jahan Humein Raahon Mein Akela,
Tere Diye Zakhm Har Ek Se Chhupaye Humne.
वो याद आये भुलाते भुलाते,
दिल के ज़ख्म उभर आये छुपाते छुपाते,
सीखा था जिसे देख के मुस्कुराना,
उसी ने आज रुलाया हँसाते हँसाते।
Wo Yaad Aaye Bhulaate Bhulaate,
Dil Ke Zakhm Ubhar Aaye Chupaate Chupaate,
Seekha Tha Jise Dekh Ke Muskurana,
Usi Ne Aaj Rulaya Hasaate Hasaate.
दिए हैं ज़ख़्म तो मरहम का तकल्लुफ न करो,
कुछ तो रहने दो मेरी ज़ात पे एहसान अपना।
Diye Hain Zakhm Toh Marham Ka Takalluf Na Karo,
Kuchh Toh Rahne Do Meri Zaat Pe Ehsaan Apna.
बस तुम्हेँ पाने की तमन्ना नहीं रही,
मोहब्बत तो आज भी तुमसे बेशुमार करते हैं।
Bas Tumhein Paane Ki Tamanna Nahi Rahi,
Mohabbat Toh Aaj Bhi Tumse Beshumar Karte Hain.
उस ने हमारे ज़ख्म का कुछ यूँ किया इलाज़,
मरहम भी ग़र लगाया तो काँटों की नोंक से।
Usne Humare Zakhm Ka Kuchh Yun Kiya Ilaaj,
Marham Bhi Gar Lagaya Toh Kaanto Ki Nonk Se.
Parents Shayari
एक ये ख्वाहिश के कोई जख्म ना देखे दिल का,
एक ये हसरत के कोई देखने वाला तो होता।
Ek Yeh Khwahish Ke Koi Zakhm Na Dekhe Dil Ka,
Ek Yeh Hasrat Ke Koi Dekhne Wala Toh Hota.
Frequently Asked Questions
क्या इस पेज की शायरियों में सीधे 'हर्ट' शब्द इस्तेमाल हुआ है?
ज़ख्म देने के तरीके पर महफ़िल में छेड़े जाने वाली शायरी कौन सी है?
बर्बाद बस्तियों में उजड़े हुए लोगों के ठिकाने न होने पर कौन सी शायरी है?
दिल पे चोट खाकर भी गिला न करने वाली मोहब्बत की शायरी कौन सी है?
हर्ट/दर्द से जुड़ी और शायरी कहाँ पढ़ें?
Kuch log zakhm dete hain aur kuch unhe hansi mein chhupa lete hain - yahi tazad is collection ki jaan hai. Status bhi zaroor dekhein dard bhare status ke liye.
