Sorry Shayari
Ek sorry, aur saari naraazgi pighal jaati hai.
Chahe khud ki galti ho ya bas dil ka darr ki kahin baat bigad na jaaye, sorry shayari un lamhon ko sherana andaaz mein pesh karti hai jab maafi hi rishta bachati hai. Isi jazbaat ko humari Messages mein bhi mehsoos kiya ja sakta hai.
माफी भी दूर से देना इस शहर में सबको
कई क़त्ल हुए हैं माफ़ करने के बाद
Mafi bhi door se dena is Shahar mein sabko,
Kai qatl hue hain maaf karane ke baad !!
तेरा चुप रहना मिरे ज़ेहन में क्या बैठ गया
इतनी आवाज़ें तुझे दीं कि गला बैठ गया
तहज़ीब हाफ़ी
Tera chup rahana mire zehan mein kya baith gaya
Itanee aavaazen tujhe deen ki gala baith gaya
Tahazeeb haafee
Popular Shayari Topics for You.
तुम हँसते हो मुझे हँसाने के लिए,
तुम रोते हो तो मुझे रुलाने के लिए,
तुम एक बार रूठ कर तो देखो,
मर जायेंगे तुम्हें मनाने के लिए !!
Tum Hanste Ho Mujhe Hansane Ke Liye,
Tum Rote Ho To Mujhe Rulane Ke Liye,
Tum Ek Baar Rooth Kar To Dekho,
Mar Jaayenge Tumhen Manane Ke Liye.
आज मैंने खुद से एक वादा किया है,
माफ़ी मांगूंगा तुझसे तुझे रुसवा किया है,
हर मोड़ पर रहूँगा मैं तेरे साथ साथ,
अनजाने में मैंने तुझको बहुत दर्द दिया है।
Aaj Maine Khud Se Ek Vaada Kiya Hai,
Maafi Mangunga Tujhse Tujhe Rusava Kiya Hai,
Har Mod Par Rahunga Main Tere Saath Saath,
Anjane Mein Maine Tujhko Bahut Dard Diya Hai.
I Am Sorry.
Love Shayari
6
धड़कन बनके जो दिल में समा गए हैं,
हर एक पल उनकी याद में बिताते हैं,
आंसू निकल आये जब वो याद आ गए,
जान निकल जाती है जब वो रूठ जाते हैं।
Dhadkan Banke Jo Dil Mein Sama Gaye Hain,
Har Ek Pal Unaki Yaad Mein Bitate Hain,
Aansu Nikal Aaye Jab Vo Yaad Aa Gaye,
Jaan Nikal Jati Hai Jab Vo Rooth Jaate Hain.
तुम खफा हो गए तो कोई ख़ुशी न रहेगी,
तुम्हारे बिना चिरागों में रौशनी न रहेगी,
क्या कहें क्या गुजरेगी दिल पर ऐ दोस्त,
जिंदा तो रहेंगे लेकिन ज़िंदगी न रहेगी।
I Am Sorry
Tum Khafa Ho Gaye To Koi Khushi Na Rahegi,
Tumhare Bina Chiragon Mein Raushni Na Rahegi,
Kya Kahen Kya Gujaregi Dil Par Ai Dost,
Jinda To Rahenge Lekin Zindagi Na Rahegi.
दर्द गैरों को सुनाने की ज़रूरत क्या है,
अपने साथ औरों को रुलाने की ज़रूरत क्या है,
वक्त यूँही कम है मोहब्बत के लिए,
रूठकर वक्त गंवाने की ज़रूरत क्या है।
Dard Gairon Ko Sunane Ki Zarurat Kya Hai,
Apne Saath Auron Ko Rulane Ki Zarurat Kya Hai,
Waqt Yunhi Kam Hai Mohabbat Ke Liye,
Roothkar Waqt Ganwane Ki Zarurat Kya Hai.
अहंकार दिखाके किसी रिश्ते को तोड़ने से अच्छा है,
कि माफ़ी मांगकर वो रिश्ता निभाया जाये।
Ahankaar Dikhake Kisi Rishte Ko Todne Se Achchha Hai,
Ki Maafi Mangakar Wo Rishta Nibhaya Jaye.
गुस्से में कुछ और भी हसीन लगते हो,
बस यही सोच कर तुमको खफा रखा है !!
Gusse Mein Kuchh Aur Bhi Haseen Lagte Ho,
Bas Yahi Soch Kar Tumko Khafa Rakha Hai.
कैसे आपको हम मनाए बस एक बार बता दो
मेरी गलती मेरा कसूर मुझे याद दिला दो !!
Kaise Aapko Ham Manae Bas Ek Baar Batado
Meri Galti Mera Kasoor Mujhe Yaad Dila Do.
